Tuesday 26 February 2013


Baitha hu tanhai m kuch is tarah
Rehta h sb kuch khamosh jis tarah
Manzil h dur thikane se hu majbur
Jalti aag m baith jata hu jis tarah
Zindagi m na pyar h na parivaar
Fir bhi umeed ka sagar hai brkarar
Dhund lunga sara jaha ek din
Apne upar khumar h is tarah
Dosto k sath milke pange lena
Baat baat p dost ki tangee khichna
Choti choti baaton p ruth jana kisika
Fir galiya kha k maan jana uska
Choti choti baaton ka dhyaan rakhta hu
Apne dosto p kuch is tarah main naaz karta hu
Reh gaye hai dost is kadar piche
Jase tham gya ho saara jahan
Yaad aate hai wo aaj bhi
Jab dekhta hu purana sama
Rh rh kar sab kuch bhul jata hu
Main ab khud main hi kho jata hu
Dosti or dil ka anmol hai rishta
Apni zindagi main sab kuch wapas ab main chahta hu
Main.khud par fir se ghamand karna chahta hu
Main sab kuch pehle jasa karna chahta hu......

2 comments: