Sunday 5 May 2013

Maa Meri Maa Pyaari Maa Mumma.......

Ma, Ma pyaar ka sagar hai.. Ma, Mumma, Maji, Mom, Mai alag alag bhasa (Language) alag alag naam par matlab sabka ek Bhagwan (GOD)...

Ma wo hai jo apne bache ki khushi ke liye har gam sehti hai or uff tak nhi karti,
Khud bimar padh jae par apne bache ko bimar nhi dekh sakti,
Chot hume lagti, taklif ma ko hoti,
Dard hume hota asar ma pe padhta.

Ma humesha apne bache ke baare main sochti hai,
chahe din ho ya raat,
bas apne bache ka rehta hai khyaal,
usko na ho koi taklif,
har maa yeh chahti hai.

Ma khud bhukhi (hungry) so jaati hai par apne bacho ko kbhi bukha nhi sone deti,
uski khushi ke liye apni kusiya bhul jati hai,
khudke sapne bhul kar apne bacho ke sapne pure karne main lag jati hai,
har taklif uthati hai par apne bacho ko humesha pyaar jatati hai,
khud gile (wet) main so jati hai par apne bacho ko humesha sukhe (dry) m sulati hai..

agar bacha bimar ho jae to maa ki jaan nikal jati hai,
apne bache ke liye wo pareshan ho jati hai,
bhul kar apna khana peena wo apne bache ko sambhalti hai,
isliye shashtro main bhi Maa ko bhagwan ka darja dia hua hai...

Jab Bhagwan ne duniya banayi usne sabse pehle Maa banayi,
humari Dharti Maa fir us Ma ko banaya jo hume banati hai,
Bhagwan har jagah nhi puhuch sakte, sabko ek sath nhi sambhal sakte
isily unhone Ma ko banaya jo har jagah har waqt apne bacho ke sath rehti hai,
apne bacho ka dhyaan rakhti hai,
Isilye Bhagwan s pehle Ma ka Darja hota hai,
Ma na hoti to hum na hote or hum na hote to duniya na hoti..

Agar bhagwan mujhe ek vardan de to main bas apni maa or apne pita(father) ko magunga,
na sona na chandi,
na paise na moti,
na bangla(House) na gadi(car),
bas mere bhagwan mere mata pita,
main unka shravan banna chahta hu,
zindagi bhar unki seva karna chahata hu..

Ma apne bacho ko achi sikhsa deti hai,
acha insaan banati hai,
saari buraio se dur rkhti hai,
galat insaano se bacahati hai ma....

Ma tere hone se sab kuch hai,
har bigda kaam banta hai,
tere aage ae ma wo khuda bhi jhukta hai,
teri mamta ke liye baar baar avtaar leta hai,
tere pass hote hue kisi ka darr nhi ma,
teri chahoo(shadow) main sukun milta hai...

Tere liye kuch kehna chata hu ma--

Maa Meri Maa Pyaari Maa..
Mumma

Haatho Ki Lakeere Badal Jaayegi
Gam Ki Ye Janjeere Pighal Jaayegi
Ho Khuda Pe Bhi Asar
Tu Duaao Ka Hai.. Ghar
Meri Maa Meri Maa Pyaari Maa..
Mumma
Ho.. Maa
Meri Maa Pyaari Maa..
Mumma

Bigdi Kismat Bhi Sawar Jaayegi
Zindagi Taraane Khushi Ke Gaaegi
Tere Hote Kiska Darr
Tu Duaao Ka Hai.. Ghar
Meri Maa Meri Maa Pyaari Maa..
Mumma
Ho.. Maa
Meri Maa Pyaari Maa..
Mumma

Yu To Main..Sabse Nyaara Hoon
Tera Maa.. Main Dulaara Hoon
Yu To Main..Sabse Nyaara Hoon
Par Tera Maa.. Main Dulaara Hoon

Duniyaa Mein Jeene Se Jyaada Uljhan Hai Maa
Tu Hai Amar Ka Jahaan..
Tu Gussa Karti Hai Bada Achchha Lagta Hai
Tu Kaan Pakadti Hai Badi Jor Se Lagtaa Hai Meri Maa..

Meri Maa Meri Maa Pyaari Maa..
Mumma
Ho.. Maa
Meri Maa Pyaari Maa..
Mumma


Haatho Ki Lakeere Badal Jaayegi
Gam Ki Ye Janjeere Pighal Jaayegi
Ho Khuda Pe Bhi Asar
Tu Duaao Ka Hai.. Ghar
Meri Maa Meri Maa Pyaari Maa..
Mumma
Ho.. Maa
Meri Maa Pyaari Maa..
Mumma






Par main ek baat janna chahta hu q hum apni priorities badal dete hai, 

q kisi or ke aane se humara pyaar ma k liy kam ho jata hai ya khatam ho jata hai,
q maa baap hume bhari padhte hai,
q hum kisi ke liye unhe chodh dete hai,
q hum bhul jate hai ki kitni taklif utha kar wo hume bada karte hai,
kabil banate hai,
q hum unhe bhul jaate hai.....

Ma main tere pass rehna chata hu humesha,

tujhe humesha pyaar karna chahta hu,
teri seva karna chahta hu,
na chuka paunga teri mamta ka karz is janam main ma,
isly agla janam bhi tere liy lena chahta hu main ma...

Ma ka dil asa hota hai jisko koi nhi kharid sakta,
Ma apne bache ke liye sabse ladh padhti hai,
apne bache ko humesha maff kar deti hai,
or humesha usko shi rasta dikhati hai......

Ma tujhe sab pata hai haina,
Tujhe pata hai tera sath sab kuch hai mere liye,
Teri jagah koi nhi le sakta Maa na koi behen na bhai na papa na pyaar or na hi koi yaar...


Main Kabhi Batlata Nahin
Par Andhere Se Darta Hoon Main Maa
Yun To Main,Dikhlata Nahin
Teri Parwaah Karta Hoon Main Maa
Tujhe Sab Hain Pata, Hain Na Maa
Tujhe Sab Hain Pata,,Meri Maa
Bheed Mein Yun Na Chodo Mujhe
Ghar Laut Ke Bhi Aa Naa Paoon Maa
Bhej Na Itna Door Mujkko Tu
Yaad Bhi Tujhko Aa Naa Paoon Maa
Kya Itna Bura Hoon Main Maa
Kya Itna Bura Meri Maa
Jab Bhi Kabhi Papa Mujhe
Jo Zor Se Jhoola Jhulate Hain Maa
Meri Nazar Dhoondhe Tujhe
Sochu Yahi Tu Aa Ke Thaamegi Maa
Unse Main Yeh Kehta Nahin
Par Main Seham Jaata Hoon Maa
Chehre Pe Aana Deta Nahin
Dil Hi Dil Mein Ghabraata Hoon Maa
Tujhe Sab Hai Pata Hai Naa Maa
Tujhe Sab Hai Pata Meri Maa
Main Kabhi Batlata Nahin
Par Andhere Se Darta Hoon Main Maa
Yun To Main,Dikhlata Nahin
Teri Parwaah Karta Hoon Main Maa
Tujhe Sab Hain Pata, Hain Na Maa
Tujhe Sab Hain Pata,,Meri Maa

♥ Love U MA....♥ 

No comments:

Post a Comment